Sunday 23 November 2014

Indian muslims held firm against IS : NSA


                        Indian muslims held firm against IS : NSA

maujooda zamane me Islam or Insaniyat ko sabse bada khatra un musalmano se he jo naahi insaniyat se waqif he aur naahi Islam ki talimaat ko samhajte he.
 
       unki gumrahi dunya k sukoon ko gharat karne me lagi hui he. ye dushmanaan-e-Islam kiun ye nahi samhajte k jo fael (kaam) insaniyat k khilaaf he uska hukm islam kaise de sakta he.
 
      unki sooch or iraade ko dekh ker ye maloom hota he k kuch log naam, paisa, taqat, aur iqtedaar ki khatir seedhey saadhe ladkon ko mazhab k naam per phuslaker islam ki talimaat k khilaf kaam karwate he aur logon k dil me darr bana ker hukumat kerna chahte he.
       mujhe beinteha khushi he k IS jaise fitnagar tanzeem ko hindustan k musalmano ne thukra diya he aur IS ko thukraker ye bata diya k wo dahshatgardi k sakht khilaaf he.

   kal k akhbaar THE HINDU me AJIT DOVAL (National security adviser) ki ye baat shaaya hui,

The bigger thing is that from the entire ulema of India, not even one muslim religious leader has supported the IS. All of them have issued fatwas against it, saying it is un-Islamic.

Thursday 13 November 2014

Insan he kya or uski pahchaan ka kya matlab he?


           Insan he kya or uski pahchaan ka kya matlab he?


Ham jis ghar me rahte hain use apna ghar kahte hain, ye bhi kahte hain k ye mera haath he, ye mera pair he, ye mera jism he. Phir ye bhi kahte he k iske andar meri rooh he. Ye jitni cheezen hain sabko ham apna kahte hain, par saari cheezon ko apna batane wala ye HAM HE KAUN? Ya to ye kahen k ham ya me kahne wala he kaun?
jo kuch he woh sab me ya mera kahne wale insaan ka he,nake insaan he.Phir sawal ye uthta he k insan he kya?

subh hoti he shaam hoti he umr yunhi tamaam hoti he k naam se jo mazmoon main ne likha tha k jis din Insaan apne wajood ko pahchan lega us din uska nafs uske taabe ho jaayega or tab jaker use wo nematen milengi jo byaan se bahar he.
Ab sawal ye uthta he k wo khudko pahchane kaise?
use uski pahchan karane k liye aik rahbar ki zaroorat hogi, theek usi tarah jaise use apni shakl dekhne k liye sheeshe ki zaroorat hoti he.
Rahbar aisa ho jisko khud ki pahchaan hasil ho chuki ho or uski haalat aaine k jaisi ho k jisme khud ko pahchjanne ki koshish kerne wala khud ko dekh sake. reyazat o mujahde k zariye use aisa bana de k uski pahchaan usko hoti chali jaaye.
ye baaten kahne sunne me ajeeb lagengi lekin insan tajarbe se in ka moshahda ker sakta he, sukoon o itminaan or maqsade zindagi ka raaz bhi isi me poshida he.

subh hoti he sham hoti he umr yunhi tamaam hoti he


        subh hoti he sham hoti he umr yunhi tamaam hoti he



Har zindagi ki manzil maut he chaahe wo insaan ki ho ya kisi or ki. Insaan ki betawajjoyi or lailmi use is sach se aksar ghafil rakhti he. Jiski bunyadi wajah insaan k andar eik aisi sifat ka maujood hona he, jisko khwahish kahte hain.
khwahish ka insaan ki doosri sifaton se bada gahra talluqe he. Ye saari sifaten insaan k andar qudrati taur par maujood hain. maslan khud ki pahchaan banane ki khwahish!

Is eik khwahish ko poora karne k liye insaan kya nahi kerta? Daulat ko hasil karne, rob-o-dabdaba qayem karne or khud ko logon me mumtaaz karne me juta rahta he.

Insaan ki khwahish usko khud me hi itna uljha deti he k wo kabhi apni khudi se bahar nahi nikal pata, Jabke wo zara bhi ghaur kare to use maloom ho jayega k wo khud hi ko nahi pahchaanta he, or dusri taraf apni pahchaan banane me or apni hi khudi me kitna ghark he.

Jis din wo apne wajood ko pahchaanlega uski khwahish or uska nafs uske taabe ho jaayega or tab jaker use wo nematen hasil hongi jo bayaan se bahar hain.