Thursday, 13 November 2014

subh hoti he sham hoti he umr yunhi tamaam hoti he


        subh hoti he sham hoti he umr yunhi tamaam hoti he



Har zindagi ki manzil maut he chaahe wo insaan ki ho ya kisi or ki. Insaan ki betawajjoyi or lailmi use is sach se aksar ghafil rakhti he. Jiski bunyadi wajah insaan k andar eik aisi sifat ka maujood hona he, jisko khwahish kahte hain.
khwahish ka insaan ki doosri sifaton se bada gahra talluqe he. Ye saari sifaten insaan k andar qudrati taur par maujood hain. maslan khud ki pahchaan banane ki khwahish!

Is eik khwahish ko poora karne k liye insaan kya nahi kerta? Daulat ko hasil karne, rob-o-dabdaba qayem karne or khud ko logon me mumtaaz karne me juta rahta he.

Insaan ki khwahish usko khud me hi itna uljha deti he k wo kabhi apni khudi se bahar nahi nikal pata, Jabke wo zara bhi ghaur kare to use maloom ho jayega k wo khud hi ko nahi pahchaanta he, or dusri taraf apni pahchaan banane me or apni hi khudi me kitna ghark he.

Jis din wo apne wajood ko pahchaanlega uski khwahish or uska nafs uske taabe ho jaayega or tab jaker use wo nematen hasil hongi jo bayaan se bahar hain.

No comments:

Post a Comment