Thursday 13 November 2014

Insan he kya or uski pahchaan ka kya matlab he?


           Insan he kya or uski pahchaan ka kya matlab he?


Ham jis ghar me rahte hain use apna ghar kahte hain, ye bhi kahte hain k ye mera haath he, ye mera pair he, ye mera jism he. Phir ye bhi kahte he k iske andar meri rooh he. Ye jitni cheezen hain sabko ham apna kahte hain, par saari cheezon ko apna batane wala ye HAM HE KAUN? Ya to ye kahen k ham ya me kahne wala he kaun?
jo kuch he woh sab me ya mera kahne wale insaan ka he,nake insaan he.Phir sawal ye uthta he k insan he kya?

subh hoti he shaam hoti he umr yunhi tamaam hoti he k naam se jo mazmoon main ne likha tha k jis din Insaan apne wajood ko pahchan lega us din uska nafs uske taabe ho jaayega or tab jaker use wo nematen milengi jo byaan se bahar he.
Ab sawal ye uthta he k wo khudko pahchane kaise?
use uski pahchan karane k liye aik rahbar ki zaroorat hogi, theek usi tarah jaise use apni shakl dekhne k liye sheeshe ki zaroorat hoti he.
Rahbar aisa ho jisko khud ki pahchaan hasil ho chuki ho or uski haalat aaine k jaisi ho k jisme khud ko pahchjanne ki koshish kerne wala khud ko dekh sake. reyazat o mujahde k zariye use aisa bana de k uski pahchaan usko hoti chali jaaye.
ye baaten kahne sunne me ajeeb lagengi lekin insan tajarbe se in ka moshahda ker sakta he, sukoon o itminaan or maqsade zindagi ka raaz bhi isi me poshida he.

No comments:

Post a Comment